na kisi ki ankh ka nur hun
na kisi k dil ka qarar hun
jo kisi k kam na a sake
main wo ek musht-e-gubar hun
na to main kisi ka habib hun
na to main kisi ka raqib hun
jo bigar gaya wo nasib hun
jo ujar gaya wo dayar hun
mera rang-rup bigar gaya
mera yar mujh se bichar gaya
jo chaman fizan mein ujar gaya
main usi ki fasl-e-bahar hun
paye fateha koi aye kyun
koi char phul charhaye kyun
koi ak shamma jalaye kyun
main wo bekasi ka mazar hun
main nahin hun nagma-e-janfishan mujhe sun k koi karega kya
main bare barog ki hun sada
main bare dukh ki pukar hun
googlead
Monday, May 14, 2012
Subscribe to:
Post Comments (Atom)


No comments:
Post a Comment