googlead

Google

Saturday, April 19, 2008

Mein Kabhi batlati nahi, par is Duniya se darti hu mein Maa.
Auro ki to keh nahi sakti, par tu meri parwah karti hai na maa.

Tujhe sab hai pata meri maa, Mein kitni akeli hoo na maa.

Sab rishte jab ek ek kar ke dil tod ke chale diye,
kehte they jo mein unka hissa hu,woh bhi dhokha dete rahe,
mein bhi kitni bholi thi na maa, tujhe sab hai pata meri maa.

vishwas tha jin rishto pe mujhe unhone hi tora dil mera meri maa
bhai ho ya behan, sab ne mujhe chora meri maa.
Tujhe sab hai pata meri maa, tujhe sab hai pata meri maa.

Kya koi nahi hai jo meri parwah karega meri maa
jo mere nazook se dil ko todne se darta hoga maa.
jisko yeh ehsaas hoga ke dil mein bhi dard hota hai na ma .
Tu hi bata kispe karu bharosa tune aisa kyu banaya mujhe Maa.
tujhe sab hai pata meri maa.

Sochti hu mein har baar dhokha khane par,
yeh akhri baar kisi ne toda ho yeh dil,par fir bhi jaata hai dokha mujhe mil
kis mitti ki bani hu mein kyu nahi chor sakti sabko maa
kyu bhool jaati hu mein ke sirf tu hi mera khudha hai meri maa
tujhe sab hai pata meri maa

Papa ki jab yaad aati hai to lachar apne ko pati hoo mein Maa
Woh apni jeet ki khushi mann mein hi rakh jaati hu mein Maa.
Sochti hu agar hote papa to meri har khushi mein gale mujhko lagate meri Maa
Taras rahi humein par unke haath koapne sir pe Maa
Par kisko yeh parwah hai na Maa
tu to sab jaanti hai na Ma, tujhe sab hai pata meri Maa

Rishto se ab kuch chah nahi Sab rishto mein dokha hai na Maa
dil mera sabne tod dia, par shayad yahi hota hai na Maa
Tu mujhe kabhi chorna nahi yahi soch ke mann yehbahut rota hai na Maa
Ho jaungi bahut akeli mein, agar tu bhi chor gayi meri Maa
jaate hue ek aawaz dena mujhe, mein bhi tere saath chalungi meri Maa
Mein kabhi batlati nahi par is duniya se bahut darti hu mein Maa
Tujhe sab hai pata meri Maa,tujhe sab hai pata meri Maa

Chor ke akeli mujhe kabhi bhi na jaana meri Maa
sang apne apni beti ko ungli pakar ke le jaana meri Maa
darr jaungi warna mein yaha tere bin na reh paungi meri Maa
Tujhe sab hai pata meri Maa, tu sab jaanti hai na Maa

love u Mom......
Miss u a lotttt papa................